अपने हसीन होंठों को
अपने हसीन होंठों को किसी परदे में छुपा लिया करो, हम गुस्ताख लोग हैं नज़रों से चूम लिया करते हैं...
Status Shayari: इरशाद, Shayari in Hindi by Shayari+ App for you to share latest hindi shayari, romantic shayari, hindi shayari sms, हिंदी शायरी, romantic shayari, sad shayari in hindi.
very nice
ReplyDeletekya khoob zamane ki wafa dekhte rahe
ReplyDeletehum har baat me apni khata dekhte rahe
yu to zamane ne badle bahut rang
hum to bas uski zafa dekhte rahe
mushkilo me thi zindagi hamari
hum to bas halato ka maza dekhte rahe
apne kehne ko to bahut mile
magar hum to uska ehsas dekhte rahe
yu to chahat ka samundar tha hamare pas
hum to kisi ke milne ki aans dekhte rahe
or kya bataye hum KHUSHNUMA
hum to aapko pane ki aans dekhte rahe
mat puchna khafa hone ka sabab mujhse.kese kese khele h qismat ne khel mujhse
ReplyDeletekese chupau dard apna kese toot gya mera sapna
kya ab kuch bhi theek nhi hoga mera koi ajeez nhi hoga
kon si kalam se khuda ne mera naseeb likha h,nhi qismat me koi habeeb likha h
kya kabhi khushi ke pal naseeb nhi honge.kya zindagi ke sare pal aise hi honge
do pal ki khushi mangi thi sirf khuda se sabki khushi mangi thi apni dua me
saza kyu milti h bekasoor ko.dard hi kyu milta h gamo se choor ko
kash koi deta hamare sawalo ke jawab. wo pal hote bahut laa jawab
dukh iska nhi ki logo ne jeene na diya. afsos to ye h ki apno ne bharosa nhi kiya
hairaan or pareshan hum rehne lage
ReplyDeletejab log apna keh kar daga dene lage
hame naaz h khud par ,hum khuddari se mar to gye
par afsos log khudgarzi se bhi jee na sake
na samjho ki hum bahut khush h apni zindagi me
ReplyDeleteye khush rehne ka nakaab to apno ki khushi ke liye laga liya
varna khud ko to humne barso pehle.kahi veerane me dafna diya
dua h aap yu hi muskuraye
ReplyDeletephool kahi khile to khushboo aapse aaye
khuda aapko pahuchaye us mukaam tak
ki har musalman bhai ke aap kaam aaye
kya khoob nazara aaj ki hawao me dekha
ReplyDeletemachal uthi ghata jab usne fizao ko dekha
ajeeb aalam tha us waqt ka
jab aapne hame or humne aapko dekha
agar kisi ko hamari shayri achchi lage to plz batana ki hum kesa likhte h
ReplyDeletehame shayri likhna achcha lagta h
koi h hamara dost jo hame bataye
Nice written by u Khusnuma g
DeleteYou are the best blogger ever i have seen see more movie update on http://guruofmovie.blogspot.in/
ReplyDeleteNice
ReplyDeletenice
ReplyDeletenice
ReplyDeletethanks ji hame batane ke liye pata h hame likhne ka bahut shok h hum apne jasbat kagaz par hi bayan kar lete h thanks ,
ReplyDeleteKIS TARHA KARU MAI AAPKA SHUKRIYA ADA
ReplyDeleteZAMANA REHTA H MUJHSE KHAFA
NHI SAMAJHTA KOI MERI BAAT
SAMAJHTE H SAB MUJHE BURA
Samjha tha begana apna mana hi kab tha
ReplyDeletekhushnuma ke dard ko tumne pehchana hi kab tha
hamesha sabne galat samjha use jana hi kab tha
uske liye sab huye paraye kisi ne apnaya hi kab tha
tarap tarap ke sabse karti rahi minnate
chhor diya tumne bhi hath thama hi kab tha
pachtawe ke gar tumhari aankho me aansu bhi aa gye
guzar gya wo zamana ab wo zamana hi kab tha
chheen li sabne uske hotho se muskaan
ab khushnuma ki hasi me wo muskurana hi kab tha
khuwahisho ko chhor kar kabhi jee kar dekhna
ReplyDeletekisi ke diye huye zakhmo ko kabhi see kar dekhna
hamari har baat tumhe samajh aa jayegi
aasma ke aansuo ko kabhi pee kar dekhna
gar fir bhi kisi jawab ki tumhe hasrat reh jaye
to kabhi khushnuma ka naam gunguna kar dekhna
ka samajh sako gar matlab hamari baato ka
to tanhai me jakar kabhi khud ko jee bhar ke dekhna
khushnuma naam h mera mai har pal khush hu
ReplyDeletemeri khushi ka kya h mai tumhari khushi me khush hu
agar mera dil dukha kar sabko khushi milti h
shok se dukhao dil mai isme bhi khush hu
dua to kisi ne di nhi mai baddua me bhi khush hu
kya hua gar mujhse aanshiyana cheen liya sabne
mai sabki khushi ke liye jungle me bhi khush hu
k.khan
thank you very much every one
ReplyDeletek.khan
or baad me likhenge jab ye or padh kar hame batana ok
thanks
kuch meethe pal kuch dukh bhari dasta
ReplyDeletemanzil to mil gyi par kho gya rasta
kuch waqt or h sanse
fir is duniya se kya vasta
aankhe band ho jayengi
or khatam hogi dasta
hello friends
ReplyDeletehi
ReplyDeleteaaj fir koi apna mujhse rooth gya
ReplyDeletefir koi apna mujhe tanha chhod gya
haalat aise the ki hum kuch keh na sake
waqt aisa tha ki wo kuch sun na sake
zindagi me ek baar fir haar gye hum
or waqt se huye fir laachar hum
fir se hamare sar se saya uth gya
ek baar fir waqt hame dhoka de gya
k khan
ReplyDeleteyou deserve million likes for this wonder ful updates,,,
ReplyDeleteJab laga seene pe teer tab hume itna dard nahi hua, ghalib,
ReplyDeleteZakham ka ehsas to tb hua jb kamaan apno k hath me dikhi
Shayari to hum bhi likha karte hai...bas fark etna hi..humari shayari nasha jaydaa hota hi....
ReplyDeleteWo kehti hai suno jaana,
ReplyDeleteMohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?
Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,
Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,
Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,
Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,
Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,
Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?
Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,
Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?
Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,
Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,
Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,
Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,
Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,
Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?
Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?
Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,
Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,
Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain